Jawab yahan na mile to WhatsApp par poochh lein — hum wahan mojood hain.
Karobar1 Pakistani karobaron ke liye bani aik all-in-1 app hai: digital khata, cash book, invoices, stock, staff — aur sab se khaas, courier booking + live tracking. Mobile aur computer, dono par chalti hai.
Bilkul. Data aap ke account ke sath cloud par mehfooz (backup) rehta hai aur phone par bhi us ki copy hoti hai. App PIN/fingerprint lock se bhi mehfooz ki ja sakti hai. Aap ka data aap ki marzi ke baghair kisi ko nahi diya jata.
Koi tension nahi. Naye phone par app khol kar apne account se login karein — saara khata, bills aur parcels wapas mil jayenge, kyunke data cloud par mehfooz hota hai.
Ji haan. Karobar1 offline-first hai: entries, bills aur cash book baghair internet ke chalte rehte hain. Internet ate hi sab kuch khud cloud par sync ho jata hai.
Aap ka apna courier merchant account. App ke Courier Connections mein apna account (PostEx, Muller & Phipps, TCS, Leopards Courier waghera) aik dafa connect karein — phir har booking aur live tracking app ke andar se hoga. Courier ki delivery fees aap ke apne account se katti hain.
PostEx, Muller & Phipps (M&P), TCS, Leopards Courier, Trax, Daewoo Fastex aur BlueEx — aur international shipments ke liye Aramex, DHL, FedEx aur UPS.
Ji haan. Shopify connection se aap ke orders app mein import ho jate hain, aur unhi orders par seedha courier booking aur tracking ho jata hai.
Har naya business banane par 1 mahina sab features muft milte hain — koi card, koi payment pehle se nahi chahiye. Trial ke baad pasand aye to plan lein, warna Free plan par data ke sath chalte rahein.
WhatsApp par apna plan batayein. Payment Meezan Bank, JazzCash, Easypaisa ya Raast se hoti hai — account ki tafseel aap ko WhatsApp par hi di jayegi, aur screenshot ki tasdeeq ke baad plan active kar diya jayega.
Koi contract aur koi pabandi nahi. Plan renew na karein to aglay period se charges khatam — business Free plan par chala jata hai aur aap ka data mehfooz rehta hai.
Plan ke hisab se — Free mein 1 device, Basic mein 2 devices. App mobile par bhi chalti hai aur computer (desktop) par bhi, aik hi account se.
Teen zubanein: English, Roman Urdu aur mukammal Urdu script. Aik tap par zubaan badlein — poori app, bills aur reports usi zubaan mein ho jate hain. Numbers hamesha saaf Latin (0-9) rehte hain.
Ji haan. Invoice image ya PDF bana kar seedha WhatsApp par share karein, aur khata se kisi party ko payment request (baqaya ki tafseel ke sath) bhi WhatsApp/SMS par bheji ja sakti hai.
WhatsApp par — sawal, masla ya plan ki khareed, sab kuch WhatsApp par hi ho jata hai.